Sunday, December 7, 2008

Life

Zindagi kya hai kaisi hai kyun aisi hai
Kuch samajh mein nahi aata
Chhaayi jaise gehri udaasi hai,
Par udaasi ka kaaran nazar mein nahi aata

Ek ghadi hoti hai khushiyo se bhari,
Toh dusra pal bohot hi ghumgheen
Aisa lagta hai jaise zurm kiya ho maine
Koi bohot hi sangheen

Pataa nahi
Kisne meri hasi chura li hai
Unn maasoom baato par
Jaane kisne nazar laga di hai

Baat baat par bina vajah
Mein ro baith ti hoon
Jaane kyu aatma vishwaas
Mein kho baith ti hoon

Hasne wali mein har ghadi
Ab muskurana bhi bhool chuki hoon
Aisa lagta hai pal bhar kay sukoon ko
Jaane kabse bhukhi hoon

Do ghadi hasne ko mile
Toh jaise raahat si hoti hai
Lekin turant hi fir
Bechaini ki aahat si hoti hai

Khair, aakhir ye sab sochne wala
Mera hi toh mann hai
Inhi silwato ka naam hi
Shayad jivan hai!
PG

1 comment:

amul said...

Hi Pal,

bahut sundar hai....
himmat nahi harte life se...
tum bahut bahadur ho...
khusiya kab tak naraz rahegi ek din to maan hi jayegi...bahut jaldi sab achha ho jayega...



Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz

Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz
Tere Gum Ke Din, Mere Gum Ke Din
Chale Jaayenge Kahan Maan Chand Roz
Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz

Aansoo Abhi Zara Aur Hai Peena
Kuch Din Isi Tarah Aur Hai Jeena
Zyaada Nahin, Mere Haseen
Rehna Hoga Pareshaan Chand Roz
Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz

Phir Zindagi Hogi Pyar Ki Khaatir
Marna Jeena Hoga Yaar Ki Khaatir
Dil Mein Abhi Yeh Armaan Chand Roz
Chand Roz Aur Meri Jaan,
Chand Roz.........