Aaina aaj Fir woh kal ki Sham Dikhla Gaya,
Udaan Bharti hui Woh kal ki Yaad Dilla Gaya.
Hasti Hui Machalti hui Udd-ti Thi Main Un Hawaon main,
Taaron Ko khojti thi Aanko ki Noor Nigahon Mein.
Sapne Sanjoti Rango ka Sparsh leti Gati thi Ghar Aangan Mein,
Haath Ki Lakiro Ko Badal leti Apno ki Panahon Mein.
Najane Raat ke Andhere ne Kab mere Saahil ka Rukh Moda,
Fariyaad Sunn na paye meri Aansuo ne bhi Saath mera Choda.
Gumon Ki Ranjhison mein Duubne Lagatha mera Suraj,
Dunia Se kya kehti Jab Sare ban Beithe khudgarj.
Dhundhli Roshni si phir yeh subah mujhe Dikhlati hai,
Aainaa aaj Fir woh kal ki Sham Dikhlati hai..............
palak...........!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi...
Pearl...
Thanks for writing this.
Post a Comment